Friday 26 July 2013

irshaadat e nabvi s.a.w ramzan and roza

    

Roza dar faisah goi say ijtannab karien:

Hazrat Abu Hurara R.A say rawat hai kay Hazrat Mohammad S.A.W nay farmaya:roza ek dhall hai (dunya mein nafasaayti khushaat aur akhrat mein azab  e duzkh say)iss liya rozay dar na faish goi kary aur na jhallna afaal aur agr koi shakass iss say larnay marnay kay liye khara ho jaye ya issay gali dey tu rozay dar ka sirf jawab yeh hona cahiaha kay mein rozay dar hoon yeh alfaaz do martaba keh dey iss zat ki qasqm jiss kay kabzay mein meri jaan hai rozay dar kay moun ki bo Allah kay nazdeek mashaq ki khusbo say zaida passand dida aur pakiza hai.Allah tallah ka irshhad banda apna khana,pina,aur apni shauwaat meray liye churata hai,roza meray liye hai aur mein hi iss ka badla hoon aur rozay mein dusari nakioun ka sawaab bhi asal naki say dus guna zada hota hai.(sahi bukhari shareef,bab al fazal al soum)............

Rozay dar ko qai a jaye:

                                                                                                                            Hazrat Abu Hurara R.A. say rawayat hai kay Nabi Kareem S.A.W nay irshaad farmaya"jiss ko khud ba khud ba khud(duran e roza)qai(ulti)  a jaye tu iss per qaza nahi hai aur jo umdan qai kary tu iss per roza qaza hai yani khud ba khud ulti anay say roza nahi tutata aur agar amadan ulti kary tu roza tuut jata hai aur qaza lazzam hai hoti hai"(sunan ib nay maja shareef:bab maja fi alsiam yaqai)

Rozay mein gaibat karna:

                                                                                                                            Hazrat Abu Hurara R.A say rawayat hai kay Hazrat Mohammad S.A.W nay irshaad farmaya "jo shakas roza rakh kar jhoti baat banana aur us per amal na choray tu allah tallah ko iss ki zaroorat nahi kay wo shaks apna khna pina chor day"(rozay ka  maqsad taqwa aur parhai gari hai aur agar rozay say yeh maqsad hasill nahi hota yani rozay mein bhi jhoot uar gaibat ko nahi chor ta tu uss kay bhokay paiysay rehnay say allah tallah ko koi faraq nahi parta)                                                 

numaz e tarawi :

                                                                                                                                      hazrat abdul rehman r.a nay say rawayat hai kay kay mein Hazrat Umer Farooq R.A kay sath ramzan ki ek raat masjid mein gaya sab log muntashir aur mutfariq thay.koi thana numaz par raha tha aur kisi kay pechay bhot say loog iss ki numaz ki ektadar kay liye kharey they phir hazrat umer farooq r.a. nay farmaya agar tamam numazi ki ek ek imam kay pechay jaimat kar di jaye tu zada achha hai chanacha app r.a nay ek jaimai bana kar hazrat abi ibnay kab R.A ko inn ka imam bana diya.phir dusrri raat ko app r.a kay sath hi nikla tu log apnay imam kay pichay numaz per rahay the yeh manzar dekh kar hazrat umer r.a nay farmaya yeh naya tareeka kiss kadar bhetar aur munasib hai lakin raat ka wo hisa jiss mein yeh log so jatien hain iss say behtar aur afzal hai jiss mein numaz pertay hain app r.a nay ki murad raat ka akhari hisa (ki fazelliat)say thi kyounkay kay log numaz  e tareawi raat kay shuru mein hi per leytay thay.(bukhari shareef :bab fazal min qaam ramzan)

Ramzan kay leya jannat ko sajya gya:

Hazrat Ibn e Umer R.A. say rawyat hai farmatay hain beishak Rasool Mohammad S.A.W nay farmaya "saal kay say saal kay aiand taak ramzan kay liye jannat ko sajaya jata hai ramzan ka phela din hota hai arash kay necahy jannat kay patoon say hoor ein per say ek hawa chalti hai wo kheti hai :aie hamray rab apnay bando mein hamray aisay khwand bana jin kay sath hamari ankhain thandi hoon aur hamray sath in ki ankhein thaandi hoon(makshoota sharif :kitab ak sawam)

No comments:

Post a Comment