Tuesday, 5 November 2013

jant ki banwat:(hows heaven look)






jant ki banwat:(hows heaven look)
                        Hazrat Syedna Abu Huraira R.A ka bayan hai kay mein nay araz kiya kay ya Rasool S.A.W  janat ki chez say bani hai?is kay jawab mein ap s.a.w nay farmaya kay ek enat sonay ki hai aur ek enat(brick) chandi ki hai aur is ka maslah (jis say enatay jori gayi hain)tez khusbo dar aur mask say hai is ki kankariyan moti aur yaqot hain aur is ki miti zafran hai jo shkas janat mein dakhil hoga hamesha nemat mein ho reh ga aur (kabhi kisi chez ka muhtaj nahi hoga hamesha zinda rehega aur moot nhi aye gi  na jantiyon kay kapray bosida hon gay aur na jawani fana hogi (tarmizi).

HAZRAT syedana abu saeed khadri say rawyat hai kay HAZRAT MOHAMMAD S.A.W nay irshad farmaya kay janat mein so darjay hain saray alam agar in mein say ek mein jama ho jaway tu sab sama jaway (tarmizi sharif)

ek martaba AMIR E BISRA HAZRAT SYEDNA UTABA BIN GAZAWAN R.A nay khutba detay hoya farmaya kay balsahba tum esay jahan ki taraf coach kar nay waley jahan say kahin aur nahi jana hoga phir farmaya kay hum ko yeh patay gaya hai kay janat kay kawaron mein say do kawarron kay darmayan chalis saal ki masafat ka fasla hai ayr yeh yaqini baat hai kay dakhil(enter) honay walon ki bheer kay sabab(reson) itna bara darwaza bhi tang par jaye ga.


JANTIYON KAY CHARAY(THE FACES OF THE PEOPLE OF HEAVEN)

HAZRAT  Syedna Bin Saad R.A ka bayan hai kay HAZRAT MOHAMMAD S.A.W nay farmaya zaroor bal nasar aisa hoga kay meri umat kay satar hazar(70 thousand) ya (farmaya) 7( saat ) lakh  afard apas mein ek dusaray ko [pakray hoya janat mein dakhil(enter) hon gay.in ki saaf ka phela sakhas dakhil na hoga jab taak in ka akhri sakhs dakhil na hojaye phir farmaya kay in kay charay is tarah chamktay hon gay jaisay chodween ka chand hata hai(targheeb)

jant mein jantiyon ka phela nashta(the first breakfast of the people of heaven)
HAZRAT ABU SAEED KHADRI R.A say rawayat hai kay HAZRAT MOHAMMAD S.A.W  nay irshad farmaya hai kay qayamat kay roz zameen ek roti ban jaye gi jiss ko ALLAH JABAR WO QAHAR apnay dast mein ley kar ultay pultay ga jaisay tum mein say koi shaks safar mein roti ko ultata pulata hai (ulat pulat kar mastwi bana kar) ALLAH zameen ko ah lay janat ki awaleen (first) mehman nawazi qaraar day ga.    

                                                                                                                                                                           

No comments:

Post a Comment