Thursday 13 June 2013

bhetrren rahnamiye

abu mohammed hareri bayan kartay hain kay hazrat junaid baghdadi ki wafaat kay waqat mein un kay pass mujad tha yeh jumay ka din tha ,aur wo quran haqeem ki tilawat farma rahey thay ,mein nay kha " sheikh!kuch apni jaan kay sath narmi ka mamla kijeye ga "hazrat junaid baghdadi nay jawab diya             "abu mohammed! kaya iss waqat qpp ko koi aisa shkash nazar aata hai jo iss ebadaat ka mujh say zada zuraurat mand ho ,wo dekho mera emaal nama lapat raha hai...................
wafaat say kabil hazrat junaid baghdadi nay nashit farmiye kay meri taraf jitni ilm ki batien mansoob hain aur logo nay nay unhay likh liya hai wo sab dafan kar di jaye logon nay iski waja pochi tu  jawab diya kay jab logon kay pass nabi kareeem(s.a.w)ki hadees ka ilm majood hai tu phir meri kawaish  yeh hai allah syy meri mulakaat iss halat mein ho kay kay mein nay apni taraff koi cheez mansoob koi chees na chori ho .......
wafat kay baad jafaar khaldi nay hazrat junaid baghdadi ko khawb dekha tu pucha"allah nay pp kay sth kaisa mamla kiya! "hazrat junaid baghdadi nay jawab diya "wo isharay khatam hoye,wo ebratien gaib ho gayi  
wo alom fana hogaye,wo nakosh mit gaye,aur humay nafa punchaya tu chand rakaton nay jo hum sehri kay waqt parh liya kartien thay........(tarikh,az khateeb baghdadi)

No comments:

Post a Comment