Sunday 23 June 2013

gusay ko door karnay kay liye duya manga karo

                                              hazrat umm salmma r.a
say rawaayat hai kay nabi kareem s.a.w aksaar yeh duya farmaya kartien the "ai dilo ko phernay wale allah!meray dill ko apnay dein par sabit qadmi ataa farma.."mein nay araz kiya hai allah kay rassool !kya dilo ko bhi phera jata hai?"nabi kareem s.a.w nay farmay haan allah tallah nay jiss insaan ko bhi peda farmaya hai iss ka dill  allah ki do angaliiyaon kay darmiyyan hota hai
phi agar iss ki minshiat hoti hai tu wo isay sidha rakhta hai aur agar iss ki minshait  hoti hai tu wo isay terah kardeta hai iss liye hum allah say duya kar tein hain kay  ai allah hamay hadayat atta farmay kay baad humray dilo ko terah na ki jiye ga aur hum iss say duya kartien hain humay  apni janab  say rahmat atta farma.....beshak wo rahmat atta farmaanay wala hai.........."mein nay araz kiya ...rasool allah s.a.w kaya app mujhay koi aisi duya nahi skihayien gayy jo mein apnay liye manag liya karo?"nabi kareem s.a.w nay farmaya kyo nahi tum yuu kha karo kay ah allah ah nabi mohammad s.a.w kay rab!meray gunahoon ko maaf farma ,meray dill kay gusay ko daur farma aur jab tak zindigi atta farmiye hai har gumrah kun fitnay say hifazzat farma"....(masand ahmed bin khanball)

No comments:

Post a Comment