Tuesday 25 June 2013

hadees e nabvi s.a.w

                                                nijhad ki surat                                                                                                   hazrat uqba r.a say rawayat hai farmatay hain kay mein nay arz kiya "ah nabi s.a.w nijhad ki kya suart hai"app s.a.w nay farmaya "apni zuban qabo mein rakhoo,apnay ghar mein raho,aur apni ghaltion par rotay raho"..........(jamiha tarmizi shareef:baab majha fi hafiz alsaan)
                                   apnay mutaliq kher ki dua manga karo
hazrat umm salma r.a. say rawayyat hai kay nabi kareem s.a.w hazrat abu salma r.a. ki miyaat per tashreef laye,un ki ankhain kholi rahen gayi thi.nabi kareem s.a.w nay unhay band kiya aur farmaya "jab roh kabazz hojati hai tu ankhain iss ka takaab karti hain.""isi duran ghar kay kuch log ronay chikhanay kagey.......nabi kareeem s.a.w nay farmaya ..."apnay mutaliq kher ki dua manga karo,kyounkay  firistay tumahri dua per ameen khetay hain."phir farmaya .."ah allah!abu salma ki bakshish farma,hadyat yafta logon mein  iss ka darja buland farma pichay rah janay waloon mein iss kay janisheen paida farma,aur ah tamam jahoon ko ko palnay waley humari aur iss ki bakshish farma ...ah allah!iss ki qabar ko kaishada farma aur isay iss kay liye munawaar farma.....(masnad ahmed bin khanbal)
                                                musibat zada ko tasalli dena
hazrat abdullah bin masoood r.a say rawayat hai farmaytay hain kay rasool s.aw nay irshaad farmaya :"jo shakas musibat zada ko tasali dey  iss kay iss ki manad suwab hai (yani musibat aur parshani jisss shakas ko punchi hai iss ko iss musibat aur parshani par jo suwab milay ga ,tasali denay waley ko bhi milay ga)............(mashqwta shareef baab albakaar ali almiyaat)
                                            Allah ki rahmat aur salam hasil karien
hazrat abu tallah r.a say rawayaat hai kay ek din rasool s.a.w tashreef laye aur app s.a.w kay cheray mubarik per khusi maloom hoti thi.......pass app s.a.w nay irshaad farmaya kay meray pass jibaraeil a.s aye aur kaha kay app ka parwadigaar farmata ha kay  ah mohammmad s.a.w kiya app iss baat per razi nahi kay app s.a.w ki umaat mein say koi app s.a.w par darood bhejay tu mein iss per dus  martaba rahmat bhejoon aur jo koi appp s.aw ki umaat mein say app par salam bhejay mein iss par dus martaba salam bhejata hoon...........(mashookta shareef:baab alsaalwaat ala alnabi s.a.w)

No comments:

Post a Comment